Bhar do jholi meri Ya Muhammad ﷺ laut kar main na jaaunga khaali Kuch nawason ka sadqa ata ho dar pe aaya hoon ban kar sawali
Haq se payi woh shaan-e-karimi marhaba dono aalam ke wali Us ki qismat ka chamka sitara jis pe nazar-e-karam tum ne daali
Zindagi bakhsh di bandagi ko aabru deen-e-haq ki bacha li Woh Muhammad ﷺ ka pyara nawasa jis ne sajde mein gardan katali
Hashr mein un ko dekhenge jasdam ummati yeh kahenge khushi se Aa rahe hain woh dekho Muhammad ﷺ jin ke kaandhe pe kamli hai kaali
Aashiq-e-Mustafa ki azaan mein Allah Allah kitna asar tha Arsh wale bhi sunte the jis ko kya azaan thi azaan-e-Bilali
Kaash Purnam dayar-e-Nabi mein jeete ji ho bulawa kisi din Haal-e-gham Mustafa ko sunaaun thaam kar un ke roze ki jaali