Bayan kyun kar sana-e-Mustafa ho Khuda jab un ka khud midhat sara ho
Madine ki mohabbat mein jo roye Ata woh aankh meethe Mustafa ho
Salam-e-shauq kehdena adab se Guzar su-e-Madinah jab saba ho
Tarap kar Ya RasoolAllah pukaro Nahi mumkin na Aaqa ne suna ho
Ata kardo mujhe woh bheek Daata Mere saare qabile ka bhala ho
Karoon be-laus khidmat sunnaton ki Shaha gar lutf mujh par aap ka ho
De jazba Madani Inamaat ka to Karam Ya Sayyid-e-har do sara ho
Main Madani qafilon hi ka musafir Rahoon aksar karam aisa shaha ho
Karam ho Dawat-e-Islami par yeh Shareek is mein har ik chhota bara ho
Main sab daulat reh-e-haq mein luta doon Shaha aisa mujhe jazba ata ho
Gunahon ne kahin ka bhi na chhora Karam mujh par Habib-e-Kibriya ho
Gunahon ki chhutay har ek aadat Sudhar jaaun karam Ya Mustafa ho
Kati hai ghaflaton mein zindagani Na jaane hashr mein kya faisla ho
Karam ho wasita kul Auliya ka Mira eeman pe Maula khatima ho
Mere aamal tole ja rahe hain Shafa'at Shafi-e-roz-e-jaza ho
Ilahi hoon bahut kamzor banda Na dunya mein na uqba mein saza ho
Baroz-e-Hashr Aaqa kaash! keh dein Tum aye Attar dozakh se riha ho