Baar-e-aalam kuch nahi Meer-e-Umam ke saamne Mera gham kya cheez hai unke karam ke saamne
Tal gaya waqt-e-museebat jab parha un par durood Dhaal ban kar aa gaya yeh naam gham ke saamne
Lehlaha jaayen mere armaan ki saakhi khetiyaan Un ka gumbad ho jo meri chashm-e-nam ke saamne
Hai ghulami ka taqaza, aajizi ka aitraaf Kham hai sar jo Shah ke naqsh-e-qadam ke saamne
Saare naghmon mein yahi hai naghma-e-aafaaq-geer Khaam hai har lay azaan ke zero-bam ke saamne
Ya RasoolAllah! ab Nazish ko bulwa leejiye Aapki ne'matein parhe baab-e-haram ke saamne