Bankay noor-e-Khuda Mustafa aa gaye Marhaba Marhaba Mustafa aa gaye
Ujri duniya thi Aaqa ne abad ki Har taraf dhoom hai unke Milad ki Sab ke mushkilkusha Mustafa aa gaye
Jin ki khabrein Nabiyon ne saari dete gaye Jo gada aaye khairaat lete gaye Woh sarapa ata Mustafa aa gaye
Ho gaye noor duniya ke zulmatkade Jin ke aanay se ma'on ko bețe mile Saroor-e-Anbiya Mustafa aa gaye
Arsh par jashn jinka manaya gaya Sab rasoolon ko jis mein bulaya gaya Haan wahi dilruba Mustafa aa gaye
Mushrikon but paraston ke din phir gaye Sab tarashe hue but zameen par gire Haq nigar haq numa Mustafa aa gaye
Ab na mayoos hoga sawali koi Aaj Nasir na laute ga khali koi Muskura ae gada Mustafa aa gaye