Bagh-e-alam mein ya Rab yeh kaun aagaya Kis ki aamad ka duniya mein danka baja Hogaya kaun andhere mein jalwa-numa Har taraf se yeh aarah-i hai sada
Mustafa ﷺ Mujtaba ﷺ marhaba marhaba
Gulshan-e-dahr mein aaye pyare Nabi ﷺ Phaili chaaron taraf ek ajab roshni Khul gayi benawaon ke dil ki gali Yeh naseem-e-sahar subh-dam bol uthi
Mustafa ﷺ Mujtaba ﷺ marhaba marhaba
Har taraf aamad aamad ki dhoomein machi Bulbulein khush-nawa naghme gaane lagin Daaliyan uth ke tazeem ko jhuk gayin Khul ke kaliyan chaman mein sabhi bol uthin
Mustafa ﷺ Mujtaba ﷺ marhaba marhaba