Ae waris-e duniya wadeen sad shukrhon mangta tera Main dekhun kyun dar-ghair ka daaman mein hai sadaqi tera Dam mein hai jab tak dam mere karta rahoon charcha tera Jaane na kuch us ke siwaa aashiq tera sheeda tera Tera ho dar mera ho sar ya Sayyidi khayr al-bashar baar-e degar dekhe nazar woh gumbad-e Khizriya tera Tere siwa kis se kahoon mujh ko bhi mil jaaye sakoon Ya Mustafa main dekh loon Shams al-Duha chehra tera Tujh par fida shams wa qamar teri gawaahi deen hajar Sar khom karen aakar shajar kankar parhein kalma tera Main hoon tere dar ka gadaa mangoon main kya us ke siwaa Mere liye kaafi shaha Batha tera Tayyiba tera Tujh ko Niazi kya khatra dil mein na rakh mahshar ka dar Har haal mein le ga mushkil-kusha Aqa tera