Ae nigah-e-shauq khul kar dekh le dilkash saman Un ﷺ ka roza jab hai tere samne jalwa fishan
Aur tak pur-kaif khamoshi se hai chhayi hui Muskurati hai fiza, taron ko neend aayi hui
Un ﷺ ke roze par yun sajde kar rahi hai chandni Char su phaili hui hai, ek muattar roshni
Kar diya hai chandni ne, aisa mast-o-shadman Meri aankhon ne kabhi dekha nahin aisa saman
Dekhta hoon jis taraf, hai ek aalam noor ka Kya bataun khench kar, naqsha dil-e-masroor ka
Noor ka sailab thathein marta hai char su Har taraf se aa rahi hai roshni kar ke wuzu
Aasman par chand tare, mahw-e-istighraq hain Aur masroof-e-sana sab aap ﷺ ke mushtaq hain
Hai badan mera zameen par rooh hai aflak par Ho nazar ae Saqi-e-Kausar mere idraak par
Khuld se aa kar farishtey bhi mazar-e-pak ko Jhaadte hain apni palkon se khas-o-khashak ko
Mail-e-banda-nawazi hai Khuda, sach ba-Khuda Baantte khairaat hain, Khair-ul-Wara, sach ba-Khuda
Is haseen manzar ko sher'on mein bayan kaise karun Chashm-e-Ahmar ne jo dekha hai ayan kaise karun