Aaye Muhammad ﷺ pyaare aaj khushiyan manaao Zulmat chutti ho gayi roshni aaj khushiyan manaao
Abr-e-rehmat harsu chaaye pyaare Muhammad ﷺ tashreef laaye Kitni suhani hai yeh ghadi aaj khushiyan manaao
Noor ka paikar saqi-e-kauthar Nuh ka humdum Khizr ka rehbar Lo aa gaya nabiyon ka Nabi aaj khushiyan manaao
Sab se bartar sab se aala aaya aaya kamli waala Sadqay mein iske duniya bani aaj khushiyan manaao
Gul bulbul shama parwaana har koi iska deewana Sab ki zubaan pe naara yahi aaj khushiyan manaao
Aaka laaj nibhane waala bigde kaam banane waala Aaj aa gaya sakhiyon ka sakhi aaj khushiyan manaao
Baarah Rabi-ul-Awwal aayi kehne lagi yeh Haleemah Daayi Bejaan mein aa gayi zindagi aaj khushiyan manaao
Mehki chaman mein daali daali ho gayi har jaanib haraali Baad-e-saba yeh kehti chali aaj khushiyan manaao
Aaya Abdullah ka pyaara Aminah Bivi ki aankhon ka taara Rehmat ki chaadar harsu tani aaj khushiyan manaao
Hooro malaik dete hain salaami keh de sab se toh ae Jaami Gar chahte ho Rab ki khushi aaj khushiyan manaao