Ae kuye-mehboob ﷺ ke musafir Hamein duaon mein yaad rakhna
Jo dil mein utrein haseen manzar Hamein duaon mein yaad rakhna
Nazar mein ho jab ke sabz gumbad Ho jab tasawwur mein rooh-e-Ahmad Machal machal kar tadap ke za'ir Hamein duaon mein yaad rakhna
Wiladat-e-Mustafa ﷺ ki jaa par Tumhare ushshaq kehna ja kar Machalte hain sab tumhari khatir Hamein duaon mein yaad rakhna
Karam jo un ka ho tum pe za'ir Hamein duaon mein yaad rakhna
Baha ke ishq ke yeh jawaher Hamein duaon mein yaad rakhna
Yeh door doori ho bas huzoori Tamanna ho yeh hamari poori Jo bhejna tum salam-e-aakhir Hamein duaon mein yaad rakhna
Zara se daane unhein khila kar Zara sa paani unhein pila kar Jo saamne ho haram ke taair Hamein duaon mein yaad rakhna
Na khaye thokar tera Ajagar Pada rahe bas yeh tere dar par Ho bilmuqabil woh jaaliyan phir Hamein duaon mein yaad rakhna