Ae kaash ! sana ma'raz-e-izhaar mein aaye Jab ism-e-girami ﷺ, meri guftar mein aaye
Hain sab hi hidayat ke darakhshanda sitare Khush bakhti se jo suhbat-e-Sarkar ﷺ mein aaye
Rif'at pe fida us ki hai kaiwan ki bulandi Muflis jo koi halqa-e-abrar mein aaye
Dil ki yeh tamanna hai ke woh mah-e-Madinah ﷺ Ek lamha ko aaina-e-deedar mein aaye
Naaton ﷺ mein jo kaifiyat-e-ikhlas hai zahir Ae kaash woh aaina-e-kirdar mein aaye
Banti hi nahin baat yahan aur wahan ki Jab tak na amal, uswa-e-Sarkar ﷺ mein aaye
Ae Sayyid ﷺ o Sardar-e-Umam ﷺ, chashm-e-karam ho Yeh noor-e-khata kar bhi darbar mein aaye