Zehra-e-Pak ke sadqe hum ko Taiba mein bulwana Ae Hasnain ke nana, ae Hasnain ke nana
Aap ke dar ka hoon main bhikari aap hain mere data Saare rishton naaton se hai pyara apna naata
Aap to hain aata hai jinko sabhi ki laaj nibhana Ae Hasnain ke nana, ae Hasnain ke nana
Besaya hai lekin do jag par hai aap ka saya Arsh-e-Mualla bana mohalla deed ko Rab ne bulaya
Hashr talak na hoga kisi ka aisa aana jaana Ae Hasnain ke nana, ae Hasnain ke nana
Saj gayi hai Milad ki mehfil kya hai khoob nazara Kaif-o-masti mein dooba hai dekho aalam saara
Dhoond rahi hai aap ki rehmat bakhshish ka bahana Ae Hasnain ke nana, ae Hasnain ke nana
Nisbat ka faizan hai dekho Khadim Ghous-e-Jali hoon Karta hai mujh pe naaz zamana main Ausaf Ali hoon
Aap ki aal ke dar ka sad hoon sail hoon purana Ae Hasnain ke nana, ae Hasnain ke nana
Zehra-e-Pak ke sadqe hum ko Taiba mein bulwana Ae Hasnain ke nana, ae Hasnain ke nana