Ae hawa Ae Madine ki galiyon se aate hui Khush qadam narm-kho aur thandi hawa Mujh ko itna bata Kaise sehra hain jin mein Muhammad ﷺ ka naqa safar mein raha Kaisi galiyan hain jin mein Muhammad ﷺ ka naqsh-e-qadam sabt tha
Ae hawa Us ke shajar ki suna Kis ke sookhe tane par Muhammad ﷺ ki kamli ka saya para To woh sarsabz shadab hota gaya Ae hawa mujh ko itna bata Kitne oonche paharon ki soorat mein hain Aaj woh sang-reze Jinhon ne Muhammad ﷺ ke hathon se goyai li
Ae hawa Ae Madine se aati hui khush qadam narm-kho aur thandi hawa Mujh ko itna bata Sirf itna bata