Ae Haji-o-Sarkar ka dar kaisa laga hai Noorani shahr Taiba nagar kaisa laga hai Ji bhar ke hai tum ne dekha gumbad-e Khizri Jab tum ne jhukaaya wahan sar kaisa laga hai Hai choomta gumbad ko dekha tum ne hai sooraj Phailata wahan noor qamar kaisa laga hai Hai sainkaron duniya mein kaise tum ne safar hain Par Sarkar ke roozay ka safar kaisa laga hai Tum ne dekhe badal honge jag mein rozana Darbar Muhammad ﷺ pe abar kaisa laga hai Wahan yaaron ke humrah jahan Aqa hain laytay Saqib ko batao ke woh ghar kaisa laga hai