Ata-e-Kibriya hai aur main hoon "Diyar-e-Mustafa ﷺ hai aur main hoon"
Ilahi hai teri shan-e-karimi Dar-e-Khairul-Wara ﷺ hai aur main hoon
Charaghan hi charaghan har taraf hai Madinah ki fiza hai aur main hoon
Talab bar-e-digar mujh ko kiya hai Nawazish hai ata aur main hoon
Masham-e-jaan muattar ho rahe hain Nakhat ki yeh fiza aur main hoon
Malaik jis dar-e-aqdas ko tarse Woh dar un ka khula hai aur main hoon
Sunhari jaliyon ke samne hoon Yeh manzar dilruba hai aur main hoon
Tahi daman, nahin daman kisi ka Karam ki intiha hai aur main hoon
Madine ka tasawwur hai ibadat Saba khushbu, ghata hai aur main hoon
Karam ki ik nazar mujh par ho Aaqa Sada-e-benawa hai aur main hoon
Ashk aankhon se behte ja rahe hain Lab-e-harf-e-dua hai aur main hoon
Fiza hai Masjid-e-Nabvi ki dilkash Tajalli ja ba ja hai aur main hoon
Mujhe ranj-o-alam se khauf kyon ho? Teri chahat rida hai aur main hoon
Mujh aasi ki hai kiya auqat yaaro! Charagh-e-iltija hai aur main hoon
Madinah Tayyaba ki haziri ke pehle din, 20 April 2015 ki sham band chhatriyon ke niche dhalti sham ke khubsurat manzar mein kahe gaye ash'aar