Ashk-e-gham din raat peena Ashk-e-gham din raat peena Al-Madinah chal Madinah Aaj nahin to kal Madinah
Dar tumhara paak karde mera yeh khaki wajood Ho karam keh aake parh loon rubaru tum par durood Al-Madinah chal Madinah Aaj nahin to kal Madinah
Jis ko mehboob-e-Khuda ﷺ se sidq-e-dil se pyaar hai Us pe Maula ka karam hai us ka berah paar hai Kaise doobey ga safeena Aaj nahin to kal Madinah
Al-Madinah chal Madinah Al-Madinah chal Madinah
Gar gunahon par hai nadim haath ko apne utha De Muhammad ﷺ ka waseela bakhsh dega Rab khata Poonch maathe se paseena Aaj nahin to kal Madinah
Maah-e-Ramzan ki fazeelat tu Madine jaake dekh Ik anokha hi maza hai tu Madine jaake dekh Aakhri ashra sabeena Aaj nahin to kal Madinah
Hoon shifa'at ka main talib aur bakhshish ki ada do Ab Madine mein bula kar dil ki tareeki mita do Ho munawwar mera seena Aaj nahin to kal Madinah
Taqayamat des mera yun hi painda rahe Is ka dushman mere Aaqa ﷺ yun hi sharminda rahe Al-Madinah Shah-e-Madinah ﷺ Aaj nahin to kal Madinah