Ashk aankhon ko yahi baat batane aaye Qafiley Taibah ko jaanay ke zamaanay aaye
Har taraf dhoom hai Sarkaar ke mehmano ki Raastay Taibah ke Jibreel sajaane aaye
Main isi aas pe baitha hoon sar-e-rah-e-guzar Jaanay kab baad-e-saba mujh ko bulaane aaye
Un ki chaukhat pe para hoon toh bari mauj mein hoon Keh do taqdeer ko mujh ko na sataane aaye
Un ki chaukhat pe jabeen rakhi hai is azm ke saath Aaye ab dast-e-ajal mujh ko uthane aaye
Hai faza gosh-bar-aawaaz kaho Wajid se Naat Sarkaar ki mehfil ko sunaane aaye