Arsh bhi pukaaray hain farsh bhi pukaaray hain Mustafa hamare hain Mustafa hamare hain Aap ke tabassum se faiziyab lagte hain Aasmaan ke daman mein jitne bhi sitaaray hain Makkah mein Jalal-e unka Taibah mein Jamaal unka Makkah ho Madinah ho donon hi hamare hain Aap ka sahaara hai hum ghareeb logon ko Hum ghareeb logon ko aap ke sahaare hain Yaad ke jo qabil hain, bhool jo nahi sakte Mustafa ke qadamon mein din wahi guzare hain Taibah ki hawa ne hi chain dil ko bakhsha hai Taibah ki hawa ne hi gulistan nikhaare hain Hashr mein Khuda un se yun kahega Ae Nasir Un ko saath le jao jo gada tumhare hain