Aankhon mein bas gaya hai Madinah Huzoor ka Be-kas ka aasra hai Madinah Huzoor ka Phir ja rahe hain ahl-e-mohabbat ke qafle Phir yaad aa raha hai Madinah Huzoor ka Taskeen jaan hai rahat-e-dil wajah-e-inbasat Har dard ki dawa hai Madinah Huzoor ka Nabiyon mein jaise afzal o aala hain Mustafa Shahron mein badshah hai Madinah Huzoor ka Hai rang-e-noor jis ne diya do jahaan ko Woh noor ka diya hai Madinah Huzoor ka Jab se qadam paday hain Rasalat-e-Maab ke Jannat bana hua hai Madinah Huzoor ka Qudsi bhi choomte hain adab se yahan ki khaak Qismat pe jhoomta hai Madinah Huzoor ka Har zarra apni apni jagah mahtaab hai Kya jagmaga raha hai Madinah Huzoor ka Ho naaz kyun na us ko Niaziؔ naseeb par Jis ko bhi mil gaya hai Madinah Huzoor ka