Allah Allah Allah hu La ilaha illa hu Aaminah bibi ke gulshan mein aayi hai taaza bahaar
Parhte hain Sallallahu Alaihi Wa Sallam aaj dar-o-deewaar Nabi ji Allah Allah Allah hu La ilaha illa hu
Barah Rabi-ul-Awwal ko woh aaya hai dur-e-yateem Maah-e-nabuwwat, mehr-e-risalat, sahib-e-khulq-e-azeem Nabi ji Allah Allah Allah hu La ilaha illa hu
Hamid-o-Mahmood aur Muhammad do jag ka sardar Jaan se pyara, raaj dulara, rehmat ki sarkar Nabi ji Allah Allah Allah hu La ilaha illa hu
Yaseen-o-Taha kamli wala Quran ki tafseer Hazir-o-Nazir, Shahid-o-Qasim aaya Siraj-e-Muneer Nabi ji Allah Allah Allah hu La ilaha illa hu
Awwal-o-Aakhir sab kuch jaane dekhe ba'eed-o-qareeb Ghaib ki khabrein dene wala Allah ka pyara habib Nabi ji Allah Allah Allah hu La ilaha illa hu
Door balayein karne wala ummat ka gham-khwar Hafiz-o-hami, Shafi-o-nafi rehmat ki sarkar Nabi ji Allah Allah Allah hu La ilaha illa hu
Pyari surat hansta chehra munh se jharte phool Noor ka paikar chand sa mukhra Haq ka pyara Rasool Nabi ji Allah Allah Allah La ilaha illa hu
Jibreel aaye jhoola jhulaaye lori de zeeshan So ja so ja Rehmat-e-Aalam main tere qurban Nabi ji Allah Allah Allah hu La ilaha illa hu
Kufr-o-shirk ki kaali ghataein ho gayin saari door Mashriq-o-maghrib-o-dunya andar ho gaya mor hi noor Nabi ji Allah Allah Allah hu La ilaha illa hu