We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Amad e Huzoor Hai

Aamad-e-Huzoor hai Aamad-e-Huzoor hai Saare jag ko dekhho yaaro noor noor noor hai


Jibreel Ameen ne aakar Ka'bah pe jhanda lagaaya Saare jag pe hogaya yaaro rahmat wala saaya Aqa ke diwanon ka dil aaj bada masroor hai


Jin ki khatir Allah ta'ala saare jahan banaaye Allah ki woh rahmat ban kar is duniya mein aaye Khatm kiya sab jag se hanira jag ko kiya parnoor hai


Ae deewano pyare Nabi ke naghme lab pe sajao Jhoomte jao saare jag ko tum yeh baat batao Aaj deewano jashn manao Rab ka aaya noor hai



Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play


Jhande lagaao Jhadiyaan lagaao galiyan bazaar sajao Pakarke haath mein tum jhanda aur lehraate jao Khush ho jaaye gadal sab ka jo bhi chor chor hai


Saqib Irfan saare jag mein yeh ilan kara de Un ka aashiq un ka deewana har ek ko yeh batado Aaj ka din to khushi ka din hai pyare Nabi ka zuhoor hai

No More Screenshots! Save Storage with Our Lyrics App!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah