Qalb-e-ashiq hai ab para para Al-wada Al-wada mah-e-Ramzan Kulfat-e-hijr-o-furqat ne mara Al-wada Al-wada mah-e-Ramzan
Tere aane se dil khush hua tha Aur zauq-e-ibadat barha tha Aah! ab dil pe hai gham ka ghalba Al-wada Al-wada mah-e-Ramzan
Masjidon mein bahar aagayi thi Jauq dar jauq aate namazi Hogaya kam namazon ka jazba Al-wada Al-wada mah-e-Ramzan
Bazm-e-iftaar sajti thi kaisi Khoob sehri ki raunaq bhi hoti Sab samaan ho gaya soona soona Al-wada Al-wada mah-e-Ramzan
Tere deewane ab ro rahe hain Muztarib sab ke sab ho rahe hain Haye ab waqt-e-rukhsat hai aaya Al-wada Al-wada mah-e-Ramzan
Yaad Ramzan ki tarpa rahi hai Aansuon ki jhadi lag gayi Keh raha hai yeh ek qatra Al-wada Al-wada mah-e-Ramzan
Tum pe lakhon salam mah-e-Ramzan Tum pe lakhon salam mah-e-Ghufran Jao Hafiz Khuda ab tumhara Al-wada Al-wada mah-e-Ramzan
Nekiyan kuch na hum kar sake hain Aah! isyan mein hi din kate hain Haye! ghaflat mein tujh ko guzara Al-wada Al-wada mah-e-Ramzan
Jab guzar jayenge mah gyarah Teri aamad ka phir shor hoga Kya meri zindagi ka bharosa Al-wada Al-wada mah-e-Ramzan
Mah-e-Ramzan ki rangeen hawao! Ae muattar muanbar fazao! Lo salam aakhri ab hamara Al-wada Al-wada mah-e-Ramzan
Kuch na husn-e-amal kar saka hoon Nidar chand ashk main kar raha hoon Bas yahi hai mera kul asasa Al-wada Al-wada mah-e-Ramzan
Sag-e-Attar badkar kahil Reh gaya yeh ibadat se ghafil Is se khush hoke hona rawana Al-wada Al-wada mah-e-Ramzan