Allah ne pohanchaya Sarkar ke qadmon mein Sad shukr main phir aaya Sarkar ke qadmon mein
Kuch der salami ko thahraya muwajah par Phir mujh ko adab laya Sarkar ke qadmon mein
Radd kaise bhala ho gi ab koi dua meri Main Rabb ko pukar aaya Sarkar ke qadmon mein
Kuch lamhay huzoori ke paaye to yeh lagta hai Ik umr guzar aaya Sarkar ke qadmon mein
Kuch kehne se pehle hi poori hui har khwahish Jo socha wahi paya Sarkar ke qadmon mein
Mujh jaisa tahi-daman kya nazr ko le jata Ik naat suna aaya Sarkar ke qadmon mein
Sarkar salami ko har saal talab kijiye Yeh arz bhi kar aaya Sarkar ke qadmon mein
Yaad aayi Sabih apni har ek khata mujh ko Amaal pe sharmaya Sarkar ke qadmon mein
Andhere mein bhi ahl-e-dil ujala dekh lete hain Jab aankhein band karte hain Madinah dekh lete hain
Zaroorat kya hai Aaqa ko kahin bhi aane jaane ki Jahan jo dekhna ho hasb-e-mansha dekh lete hain
Khuda hi jaanta hai had hai kya noor-e-Muhammad ﷺ ki Nazar jitni mili jin ko woh utna dekh lete hain
Faqeeri jazb ho jaati hai anwar-e-nabuwwat mein Jahan walay faqat zahir ka jalwa dekh lete hain
Dar-e-Khair-ul-Bashar insaniyat ki aakhri had hai Usi nisbat se qad insaan ka ooncha dekh lete hain
Nazar se ghaib kuch ho to sawal-e-ghaib-dani hai Ana min noor hain ek ek zarra dekh lete hain
Ajab hai shauq rasm-o-rah-e-darbar-e-Shah-e-Bat-ha Yahan kam dekhne walay zyada dekh lete hain