Allah humein kar de ata qufl-e-Madinah Har ek musalman le laga qufl-e-Madinah
Ya Rabb na zaroorat ke siwa kuch kabhi boloon! Allah zabaan ka ho ata qufl-e-Madinah
Bak bak ki yeh aadat na sar-e-hashr phansa de Allah zabaan ka ho ata qufl-e-Madinah
Har lafz ka kis tarah hisab aah! main doon ga Allah zabaan ka ho ata qufl-e-Madinah
Aksar mere honton pe rahe zikr-e-Muhammad ﷺ Allah zabaan ka ho ata qufl-e-Madinah
Barhta hai khamoshi se waqar ae mere pyare Ae bhai! zabaan par tu laga qufl-e-Madinah
Hai dabdaba khamoshi mein haibat bhi hai pinhan Ae bhai! zabaan par tu laga qufl-e-Madinah
Rakh lete the pathar sun Abu Bakr dahan mein Ae bhai! zabaan par tu laga qufl-e-Madinah
Chup rehne mein sau sukh hain to yeh tajruba karle Ae bhai! zabaan par tu laga qufl-e-Madinah
Aaqa ki haya se jhuki rehti nazar aksar Aankhon pe mere bhai laga qufl-e-Madinah
Gar dekhe ga filmein to qayamat mein phanse ga Aankhon pe mere bhai laga qufl-e-Madinah
Aankhon mein sar-e-hashr na bhar jaaye kahin aag Aankhon pe mere bhai laga qufl-e-Madinah
Boloon na fazool aur rahein neechi nigahien Aankhon ka zabaan ka de Khuda qufl-e-Madinah
Aaein na mujhe waswasay aur ganday khayalat De zehan ka aur dil ka Khuda qufl-e-Madinah
Raftaar ka guftaar ka kirdar ka de de Har uzw ka de mujh ko Khuda qufl-e-Madinah
Dozakh ki kahan taab hai kamzor badan mein Har uzw ka Attar laga qufl-e-Madinah