Allah hi Allah banday Allah hi Allah bol naat Nabi ki parh parh kar to karam ke moti rol kitna un se ishq hai tujh ko kitna un par marta hai zikr Muhammad ﷺ ka honton se kitni dafaa to karta hai un ki wafa ki leke taraazu ishq ko apne tol tera bhi aqa ke dar se izn-e-hazoori aayega to bhi un ke qadmon mein is sar jhukaane jaayega un ki nagar jaane ke liye to paron ko apne tol tujh pe bhi sarkaar-e-jahan ki nazar karam ho jaaye gi nadari sab hat jaayegi khushhali aa jaaye gi un ki bhikari ban ke hathon mein le kashkol dhan mein tere barkat hogi ghar mein tere rahmat jannat teri masnad hogi duniya mein hogi izzat naam ka un ka sadaqa dekar dil ki grahein khol Is duniya ko chhorke tujh ko mulk-e-adam bhi jana hai Wohi to teri manzil hai wo hi asli tera thikana hai To hai bandey khak ka patla bol baray mat bol to hai sana-khwan jin ka Abid tujh pe karam yeh un ka hai Arsh pe jin ka maskan hai aur ko-e-adam bhi jin ka hai naat suna ke un ki sab ke kaanon mein ras ghool