Aalam ka kya kaam Madine ke nagar mein Har gaam hai aaraam Madine ke nagar mein
Par zauk hai har subah to par shauk hai har din Par noor hai har shaam Madine ke nagar mein
Maange toh koi aap se ashkon ki zabaan mein Ban jaate hain sab kaam Madine ke nagar mein
Bakhshish ke, shafa'at ke, inaayat ke, karam ke Mil jaate hain inaam Madine ke nagar mein
Karte hain farishte bhi tawaf-e-dar-e-mahboob Baandhe hue ehraam Madine ke nagar mein
Ho azaan ko Naazish tera har saal guzre Ramzan ke ayyaam Madine ke nagar mein