Ajab rang par hai bahar-e-Madinah Ke sab jannatein hai nisar-e-Madinah
Mubarak rahe andaleebo tumhein gul Hamein gul se behtar hai khaar-e-Madinah
Bana shah-nasheen Khusro-e-do jahan ka Bayan kya ho izz-o-waqar-e-Madinah
Meri khaak ya Rab na barbaad jaaye Pas-e-marg kar de ghubaar-e-Madinah
Kabhi to ma'asi ke khirman mein ya Rab Lage aatish-e-lala zaar-e-Madinah
Rag-e-gul ki jab nazuki dekhta hoon Mujhe yaad aate hain khaar-e-Madinah
Mala'ik lagate hain aankhon mein apni Shab-o-roz khaak-e-mazar-e-Madinah
Jidhar dekhiye baagh-e-jannat khula hai Nazar mein hain naqsh-o-nigaar-e-Madinah
Rahein un ke jalwe basein un ke jalwe Mera dil bane yaadgaar-e-Madinah
Haram hai use saahat-e-har-do-aalam Jo dil ho chuka hai shikaar-e-Madinah
Do aalam mein bat-ta hai sadqa yahan ka Hamein ik nahi reza-khwaar-e-Madinah
Bana aasmaan manzil-e-ibn-e-Maryam Gaye la-makaan taajdaar-e-Madinah
Muraad-e-dil bulbul-e-be-nawa de Khudaya dikha de bahar-e-Madinah
Sharaf jin se haasil hua ambiya ko Wahi hain Hasan iftikhaar-e-Madinah