Aisa tujhe khaliq ne tarahdaar banaya Yusuf ko tera talab-e-deedaar banaya
Taleat se zamana ko pur-anwaar banaya Nighat se gali koochon ko gulzaar banaya
Deewaron ko aaina banate hain woh jalwe Aainon ko jin jalwon ne deewar banaya
Kounain banaye gaye Sarkaar ki khatir Kounain ki khatir tumhein Sarkaar banaya
Kunji tumhein di apne khazanon ki Khuda ne Mahboob kiya malik o mukhtaar banaya
Aalam ke sulateen bhikari hain bhikari Sarkaar banaya tumhein Sarkaar banaya
Ae maah-e-Arab, mehr-e-anjum, main tere sadqe Zulmat ne mere din ko shab-e-tar banaya
Unke labb-e-rangeen ki nichhawar thi jis ne Patthar mein hasan la'l-e-pur-anwaar banaya