Aisa karam kiya gaya bakht-e-shikasta haal par Sajda-e-shukr deed tha woh bhi dar-e-jamaal par
Baitha hoon garcha farsh par, charche hain mere arsh par Bhejta hoon durood-e-paak unﷺ pe aur unﷺ ki aal par
Gard-o-ghubaar se bacha, aur dayaar se bacha Tair-e-shahar-e-Mustafaﷺ tu zara dekh bhaal par
Rahmat-e-do-jahaan ka naam, mere bana gaya hai kaam Laakh huin inaayatein ek mere sawaal par
Rukh su-e-Taiba kar liya, seene mein noor bhar liya Kaif mein bosa le liya baad-e-saba ne gaal par
Saail-e-Mustafaﷺ hoon main, shair-e-na'tiya hoon main Hota rahe jise bhi ho naaz mata-o-maal par
Izn-e-Huzoorﷺ ho gaya, dil mein suroor bo gaya Fauri udaan ke liye main ne liye nikaal par
Mujh se kiya gaya hasad, Aap ne bakhsh di madad Noor-e-urooj chha gaya mere har ik zawaal par
Yeh jo Nabiﷺ ki naat hai, meri yahi baraat hai Is mein mira nijaat hai, zinda hoon is khayaal par