We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Ahmed Ke Ahad Mein Kya Samjhu

Kaunain ka masjood hai mehboob hai tu Har shai teri shahid hai ke mashhood tu Har ik ke lab pe par hai teri hamd-o-sana Har soz mein har saaz mein maujood hai tu


Ta'zeem se leta hai Khuda naam-e-Muhammad ﷺ Kya naam hai ae salle-ala naam-e-Muhammad ﷺ Allah kare us pe haram aatish-e-dozakh Jis shakhs ke dil pe likha naam-e-Muhammad ﷺ


Andheri raat hai Shams-ud-Duha ki baat karo Sitaron pe rukh-e-Mustafa ﷺ ki baat karo Nakiro baad mein koi doosra sawal karo Khudara pehle mere Mustafa ﷺ ki baat karo


Yeh aql-e-hairat se mail sawal hai Shan-e-Rasool-e-Pak samajhna mahal hai


Ahmad ke Ahad mein kya samjhoon Woh hain parda-e-meem mein aur hi kuch Zamana un ko Mustafa ﷺ jaanta hai


Khuda ke siwa koi kya jaanta hai Muhammad ﷺ ka rutba Khuda jaanta hai


Ahad Ahmad vich falak na bhulya Ratti ki mehar marori da


Ae ishq tu bata Main Muhammad ﷺ ko kya kahoon


Ahmad ke Ahad mein kya samjhoon Yeh kaun hai meem ki chilman mein


Hazaron saal raha arsh par Khuda ban kar Utar para woh Madinah mein Mustafa ﷺ ban kar


Koi raaz haqeeqat ki samjha Kya shan Arab de wali da Rabb aap Madine aa baitha Jhumb maar ke kamli kaali da


Yeh bhed wahi samjha jo ahl-e-nazar hai Batin mein wahi aap hai jo zahir mein bashar hai


Is bhed ke samajhne se aajiz hai ilm-o-aql Hamsa nahi Khuda bhi nahi kya kamaal hai


Amama khare baandhte the Shah-e-Sarfraz Jibreel se farmaya ke kya momin-o-damsaz Jis parda-e-wahdat se tujhe aati hai aawaz Ja kar tu zara dekh kya posheeda hai raaz Jibreel ne ki arz ke qudrat mujhe kya hai Mehboob ne farmaya ke ja meri raza hai Parda jo uthaya to nazar aayi na kuch shai Dekha to yeh dekha jo yahan hai woh wahan hai Parde mein Khuda to nahi mehboob-e-Khuda hai Amama is hi tarah khara baandh raha hai


Ahmad ke Ahad mein kya samjhoon Yeh kaun hai meem ki chilman mein Hairat ki hai jaan saya bhi nahi Lagta bhi hai insaan dekhan mein


Chalo mana Muhammad ﷺ aadmi hai Magar besaya kionkar aadmi hai


Allah ka mehboob hai kam paya nahi hai Main apne munh se dewar-e-mahshar ko kya kahoon Chota sa munh hai baat badi aur kya kahoon Allah ka mehboob hai Allah ne paas bula hi liya Bin dekhe bhi reh na saka


Aise kamalaat bashar mein to nahi hote Hairat ki hai dekho unka saya bhi nahi



More Lyrics, Less Storage - Install the App and Ditch the Screenshots!

Get it on Google Play


Husn ki jaan ho gaya hoga Goya imaan ho gaya hoga Dekh kar aap ka qad-e-mauzoon Saya qurban ho gaya hoga


Tore noor se sab sansaar hua Tore naam se beda paar hua Bhagwan bhi tore gun gaaye Quran aaya tori shaan mein


Kahin Yaseen kaha kahin Taha kaha Kahin Rasool kaha kahin Kausar kaha


Islam kya hai teri adaaon ka naam hai Quran kya hai teri sana sar se paon tak


Lolaak ki pagdi sar sohe Taha sehra mathe pe saje Wailail ki zulfen kandhon par Madaz ka kajra naino mein


Tohe yaad karat mora ang ang hai More bhaag suhaag tore sang hai Ik baar jo aa more aangan mein Ho jaaun suhagan sakhiyan mein


Balhaar na ho jaaun Tori lekar balaiya


Mohe des Arab man bhawat hai Mohe yaad Madinah aawat hai Bichaar bipaar ki arj suno Sajid ko bulalo charman mein

Your Lyrics, Even Offline - Install the App for Free!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah