Agar kamli wale ki rahmat na hoti to qismat ke maaroon ka kya haal hota Rasool-e-Khuda ka sahara na milta to hum be-saharon ka kya haal hota Woh aqa woh maula woh data hamare khudai ke pyare khuda ke dulaare Muhammad ﷺ jo dukhiyon ke haami na hote to in be-saharon ka kya haal hota Na yeh phool khilte na kaliyan mehktein na gulzar hanste na galiyan mehktein Nabi ke pasine ki khushboo na milti to dil-kash bahaaron ka kya haal hota Muhammad ﷺ ka jalwa hai jalwa khuda ka Muhammad ﷺ ka parda hai parda khuda ka Agar aap aa jaate parde se bahar to phir chand taron ka kya haal hota Kise haal-e-dil apna Anwarؔ sunate kahaan phir amaan ahli tawhid paate Agar sabz gumbad ka saya na milta to ulfat ke maaroon ka kya haal hota