We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Ae Naam e Muhammad Sally Ala

Ae naam-e-Muhammad ﷺ salle-ala SubhanAllah SubhanAllah Di jis ne hamare dilon ko jila SubhanAllah SubhanAllah


Quran utha kar dekh zara maloom tujhe ho jaye ga Hai qaul-e-Muhammad ﷺ qaul-e-Khuda SubhanAllah SubhanAllah


Meraj ki shab maloom hua aalam ko teri rif'at ka pata Hai qadmon ke neeche Arsh-e-A'ala SubhanAllah SubhanAllah



Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play


Khaliq bhi saath farishton ke khud bhejey duroodon ke tohfey Yeh shaan hai yeh rutba hai tera SubhanAllah SubhanAllah


Hum raat ko shab bhar sote hain ummat ke woh gham mein rote hain Hum jurm karein woh 'afw-o-'ata SubhanAllah SubhanAllah


A'maal na dekhe yeh dekha mehboob ﷺ ke koche ka hai gada Maula ne mujhe yun bakhsh diya SubhanAllah SubhanAllah


Jab main ne sunayi naat-e-Nabi ﷺ sun ho gaya munkir sunte hi Sunni ne suna sun kar yeh kaha SubhanAllah SubhanAllah

Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah