Aakhri waqt mein kya raunaq-e-dunya dekhun Ab toh bas ek hi dhun hai ke Madinah dekhun
Az ufaq ta ba ufaq ek hi jalwah dekhun Jis taraf aankh uthay rauzah-e-wala dekhun
Aaqibat meri sanwar jaaye jo Taibah dekhun Dast-e-imroz mein aaina-e-farda dekhun
Main kahan hoon, yeh samajh loon toh uthaun nazrein Dil sambhal jaaye toh main janib-e-Khizra dekhun
Main ne jin aankhon se dekha hai kabhi shahr-e-Nabi Aur un aankhon se ab kya koi jalwah dekhun
Baad-e-rehlat bhi jo Sarkar ko mehboob raha Ab un aankhon se main khush-bakht woh hujrah dekhun
Faqr-o-faqah hi raha jis ke makeenon ka naseeb Chashm-e-ibrat se main woh maskan-e-Zehra dekhun
Jaaliyan dekhun ke deewar-o-dar-o-baam-e-Haram Apni mazoor nigahon se main kya kya dekhun
Mere Maula meri aankhein mujhe wapas kar de Taake is baar main jee bhar ke Madinah dekhun
Jin gali koochon se guzre hain kabhi mere Huzoor Un mein ta had-e-nazar naqsh-e-kaf-e-paa dekhun
Taake aankhon ka bhi ehsaan uthana na paray Qalb khud aaina ban jaaye main itna dekhun
Kaash Iqbal yun hi umr basar ho meri Subh Kaabay mein ho aur shaam ko Taibah dekhun