Aaye Nabiyon ke sultan Aaye Nabiyon ke sultan Ek nazar jo un ko dekhe ho jaaye qurbaan
Hawa Maryam hoorain aayein Aamad ko sab jashn manayein Karte hain Jibraeel Ameen pyara yeh ilan
Sare jag mein dhom machi hai Amina ghar Nabiyon ka Nabi hai Hooro Malaik karne aaye un ki shan bayaan
Aaqa ki noorani surat jo dekhe karta hai tilawat jagmag jagmag peshani hai aur chehra Quran
Bole Khuda khud un ki zabani baat Nabi ki sab ne maani Aqa ne jo farmaya hai woh Rabb ka Quran
Maut ko mujh par pyaar aayega mera naseeb sanwar jaayega Aqa ke qadmon mein nikle jis dam meri jaan
Aqa mere khwab mein aana hum ko apna jalwa dikhana Sare ghulamon ke dil mein rahta hai yeh armaan
Dekhain hum din raat Madinah deta hai khairat Madinah Kaash tumhare dar ke Aqa hum sab hon mehmaan
Naat kamal Aqa ki parhi hai sari mahfil jhoom rahi hai Zikr-e-Nabi se rahmat barse mahfil mein har aan