Aqa ke hain ghulam hum to Aqa ke hain ghulam Shaam soiree japte hain hum Pak Nabi ka naam
Pak Muhammad ﷺ ki hurmat par hum to marmat jaayenge Un par aanch na aane denge hum to sab kat jaayenge Pak Nabi ke ishq ka hum ne yaaro piya hai jaam
Hum to Ya Rasul Allah ka naara lagane wale hain Dekhna ek din sab duniya par hum to jaane waale hain Har jaa naafiz kar denge hum Pak Nabi ka nizam
Shaam soiree Pak Nabi ka sadaqa hum to khaate hain Shaam soiree naghme Pak Nabi ke hum to gaate hain Un ki ne'matein parhte parhte qissa hoga tamaam
Dil mein basa lo pyaar Nabi ka naghme durudon ke gao Naam-e-Nabi ka jhanda lekar sare jag par leharao Dono jahan mein roshan yaaro hoga tumhara naam
Pyaari Pyaari Pak Nabi ki ne'matein parhe jaato Irfan Is ke sadqe tujh ko yaara rutba mile ga aali shaan Aqa tere khush honge aur tujh ko denge inaam