Aqa ﷺ ke ghulamon ko ab eid manane do Sarkar ﷺ ne aana hai raahon ko sajane do
Charcha hai yahi har su kehta hai yeh har koi Tashreef-e-Nabi ﷺ laye mehfil ko sajane do
Ghar ghar mein chiraghan hai rehmat ka ujala hai Aqa ﷺ ki sana karke taqdeer jagane do
Khushiyan hain sabhi karte Sarkar ﷺ ki aamad par Ik naat-e-Nabi ﷺ yaaro mujh ko bhi sunane do
Hai noor-e-Muhammad ﷺ ki sab roshni duniya mein Sab kuch hai Bashir unka sadqa to lutane do