Aqa ka dar sakhi hai Madinah mein jaa ke dekh Kar denge mala maal to daaman bichha ke dekh Milta hai kya nahin wahan sar ko jhuka ke dekh Bab-e-Karam ke samne aansu baha ke dekh Qismat mein jo nahin hai teri woh bhi paaye ga Mangte sada Nabi ki gali mein laga ke dekh De Panjtan ka wasila aur dekh le karam Mat der kar to haath dua mein utha ke dekh Naam-e Hasan Husain pe rakh lenge Aqa laaj Yeh donon pyare naam hain lab par to la ke dekh Rehmat se sab ki jhooliyaan bhartay Huzoor hain Awaaz de raha hai Madinah keh aake dekh Shahr-e Nabi mein mang qismat se bhi sawa Badal bars rahe hain Nabi ki ata ke dekh Ae mere dil Huzoor ki nazar-e-karam hai yeh Saaye samet rahe hain meri har khata ke dekh Aashkon se hazri ki dua mang phir kamalؔ Dar pe tujhe mile hain lamhe dua ke dekh Sar ko qadam bana kar munasib hai yeh kamalؔ Aadab to yehi hai Dar-e Mustafa ke dekh