Aaqa huzoor aayenge aaj nahin to kal sahi Dil ka suroor paayenge aaj nahin to kal sahi
Jalwah-e roy-e wal-duha noor-e-nazar bane ga Dil apna jagmagayenge aaj nahin to kal sahi
Un ka karam hai chaar sau un ki hai mujh ko justaju Apna mujhe banaayenge aaj nahin to kal sahi
Un ke baghair zindagi maut hai zindagi nahin Dil mein wahi samaayenge aaj nahin to kal sahi
Naaton ke phool isi tarah khilte rahe jo raat din Dil ko chaman banaayenge aaj nahin to kal sahi
Aisa bhi ho ga aik din hum apni dastan-e-gham Ja kar unhen sunaayenge aaj nahin to kal sahi
Wabasta kar de ai Riyaz un se Khuda agar hamein
Duniya alag basaaenge aaj nahin to kal sahi