Aqa Aqa bol bande Aqa Aqa bol Zikr-e-Nabi to karta ja yeh zikr bara anmol
Aisa din bhi ajaaye Sarkaar ke dar pe baithe hon Lab khamosh zubaan ban jaaye aansu arz'an karte hain Unke dar pe rone wale dil se kuch toh bol
Sarwar-e-Aalam pyare Aqa jidhar se guzra karte the Shajar gawahi deta tha aur pathar kalma padhte the Noor-e-Khuda ke munkir ab toh apni aankhein khol
Aao chalo deewano saare Shehr-e-Madinah chalte hain Meri kya auqaat hai sab hi unke dar pe palte hain Ghairon ko bhi dete hain woh bin maange bin mol
Arsh pe jis pahunche saare Nabiyon ke Sultaan Dushman-e-Deen sab tharraye aur kufr hua hairaan Rab ne aisi izzat bakhshi kabhi na aaya jhol
Jin ko zikr hai dono jahan mein woh hain mere Sarkaar Arsh pe Rab ne bulwaya khud karne ko deedar Taareef Khuda khud karta hai Quran utha ke khol
Pyare Nabi ka wasta dekar Rab se jo bhi manga hai Kya batlaoon jo manga tha us se badh kar paya hai Malik mein Mukhtar ho tum yeh hai Rab ka qaul
Jab se hosh sambhala hai main unki nematein padhta hoon Gustakhi na ho jaaye main sambhal sambhal ke chalta hoon Maa duaon ka sadqa hai naat ka yeh mahaul
Rashid naatein likhna padhna yeh hai bara e'zaz Unke karam ke sadqe hi se oonchi hai parwaaz Naat-e-Nabi toh sunaye ja aur kaano mein ras ghol