Aap aaye karam hi karam ho gaya Sab ke dil jagmagaye karam ho gaya
Mehfil-e-Mustafa pe hai jaaun fida Jo bhi mehfil mein aaye karam ho gaya
Kis ko mere Nabi ne nawaza nahin Har koi yeh batane karam ho gaya
Woh jo dil mein na the dil yeh veeran tha Woh jo dil mein samaye karam ho gaya
Mere sur meri aawaz kuch bhi nahin Un ke naghme sunaye karam ho gaya
Aal-e-Athar par mera sab kuch fida Aise waade nibhaye karam ho gaya
Aayegi ab sawari na jaane kahan Har taraf dil bichaye karam ho gaya
Zikr-e-Ahmad ka tohfa liye phir Zia Hum sana-khwan aaye karam ho gaya