Aap aaye jab Madine woh noorani ban gaya Woh toh Rahmat-e-Haq Ta'ala ki nishani ban gaya
Allah ka Quran saara Mustafa par utra jo Woh toh saara Mustafa ki naat khwani ban gaya
Ungliyon se Mustafa ki paani jo jaari hua Woh toh afzal sab jahaan se yaaro paani ban gaya
Noor un ko jo na maane jo kare gustakhiyan Woh toh banda sheitan ki yaaro hai naani ban gaya
Apne khoon se deen yaaro Aal ne zinda kiya Karbala ka waqea woh ek kahani ban gaya
Hajra jis ja pe daudein woh pahadon ki jagah Rab Ta'ala ki ae yaaro woh nishani ban gaya
Jab se Saqib naat ke maidan mein aaya dosto Dil noorani ban gaya seena noorani ban gaya