Aaj ashk mere naat sunayein toh ajab kya Sun kar woh mujhe paas bulayein toh ajab kya
Deedar ke qabil toh kahan meri nazar hai Lekin woh kabhi khwab mein aayein toh ajab kya
Hasil jinhein Aaqa ki ghulami ka sharaf hai Thokar se woh murdon ko jalayein toh ajab kya
Munh dhanp ke rakhna ke gunahgar bohat hoon Mayyat ko meri dekhne aayein toh ajab kya
Na zaad-e-safar hai na koi kaam bhale hain Lekin mujhe Sarkar bulayein toh ajab kya
Woh husn-e-do alam hain Adeeb un ka karam hai Sehra mein agar phool khilayein toh ajab kya