Aadamiyat ki alamat hai wila-e-Mustafa ﷺ Mustafa ﷺ dil ke liye, dil hai bara-e-Mustafa ﷺ
Hai raza-e-Mustafa ﷺ mein Rabb-e-Kaaba ki raza Rabb-e-Kaaba ki raza mein hai raza-e-Mustafa ﷺ
Kuch nahin maloom kya hai qissa-e-zaat-o-sifaat Tujh pe hum imaan laaye ai Khuda-e-Mustafa ﷺ
Shakl-e-insani mein Quran-e-mujassam aap ﷺ hain Sharh-e-farmaan-e-Khuda hai har ada-e-Mustafa ﷺ
Hashr ki garmi use kuch bhi sata sakti nahin Jis ko saaya mil gaya zer-e-liwa-e-Mustafa ﷺ
Do jahaan ki baadshahi se bada hai yeh sharaf Kaash main kehlaaun ek adna gada-e-Mustafa ﷺ
Aarzoo dil mein yeh rakhta hoon Khuda poori kare Jab maroon Kausar zabaan par ho sana-e-Mustafa ﷺ