We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Aa Gaya Hai Jis Ke Bhi Damaan e Aali Hath MainNot Verified

Aa gaya hai jiske bhi daman-e aali haath mein



Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play


ni'mat-e koonin gooya us ne paali haath mein


dil se taskeen ki ajab soorat nikali haath mein


walhaana thaam li roozay ki jaali haath mein


jis ke seene mein nahi ishq Habib Kabriya


dolat-e bakhshish nah paaye ga woh khali haath mein


Hoon gada-e Mustafa muflis na tum samjho mujhe


Hai aqeedat ka khazana mere khali haath mein


Koi bhi mahrum dar se aap ke loota nahi


gowhar-e maqsood dekha har sawali haath mein


kimiya se barh ke kya hai jab hua mujh se sawaal


khak-e paaye Mustafa mein ne utha li haath mein

Free Up Space - Get Lyrics Without Bulky Screenshots!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah