Buland shan falak martaba Imam Hussain ؑ Sukoon-e-deeda-e-Khair-un-Nisa Imam Hussain ؑ
Qarar-e-jaan-o-dil-e-Murtaza Imam Hussain ؑ Shaheed-o-kushta-e-tegh-e-Raza Imam Hussain ؑ
Khuda parast Khuda aashna Imam Hussain ؑ Hai sharh saaz-e-fana-o-baqa Imam Hussain ؑ
Sawar-e-shana-e-Khair-ul-Wara Imam Hussain ؑ Kuja Yazeed-e-sitamgar kuja Imam Hussain ؑ
Liya panah mein be-aabru na hone diya Aroos-e-deen-e-Khuda ki rida Imam Hussain ؑ
Nazron ke samne go lakht-e-dil shaheed hue Na aah ki na hue lab kusha Imam Hussain ؑ
Woh jin ke naaz uthate the Jibraeel-e-Ameen Yahi toh hain woh Shah-e-Karbala Imam Hussain ؑ
Kataya sar na diya dast-e-khud ba-dast-e-Yazeed The kitne pak rawish ba-safa Imam Hussain ؑ
Ada na ki hai kisi ne na kar sake ga koi Namaz kar gaye aise ada Imam Hussain ؑ
Hua na arz-o-sama mein koi Imam Hussain ؑ Bila misaal ba-arz-o-sama Imam Hussain ؑ
Khaleel sahib-e-eesaar toh hue Anwar ؔ Woh ibtida the magar intiha Imam Hussain ؑ