Ya Shaheed-e-Karbala faryaad hai Noor-e-chashm-e-Fatimah faryaad hai
Aah! Sibt-e-Mustafa faryaad hai Haaye! Ibn-e-Murtaza faryaad hai
Bera amwaj-e-talatum mein phansa Aah! mere nakhuda faryaad hai
Us Ali Akbar ka sadqa jo ke hain Hum shabih-e-Mustafa faryaad hai
Hai meri haajat mein Taibah mein maroon Ae mere haajat rawa faryaad hai
Mujh ko deewana Madine ka bana Noor-e-chashm-e-Mustafa faryaad hai
Saqi-e-Kausar ka sadqa saqiya Jaam-e-ulfat ka pila faryaad hai
Dushmanon ki dushmani se tang hoon Shahsawar-e-Karbala faryaad hai
Hasidon ka barh gaya had se hasad Aur sulook-e-narawa faryaad hai
Thartharata hai kaleja khauf se Door ho khauf aa bhi ja faryaad hai
Raaste hi mein bhatak kar reh gaya Rehbari kar rehnuma faryaad hai
De diya saare tabibon ne jawab Bahr-e-Zahra de shifa faryaad hai
Main nikkama hoon nikamme ko nibha Kaun hai tere siwa faryaad hai
Nafs-o-shaitan ki pakar mein aa gaya Zor-e-isiyan barh chala faryaad hai
De Ali Asghar ka sadqa sarwara Paikar-e-jood-o-sakha faryaad hai
Jankani mein sakhtiyon par sakhtiyan Barh rahi hain Sayyida faryaad hai
Paar utaar ae rakib-e-dosh-e-Nabi Bahr-e-gham se nakhuda faryaad hai
Bewafa duniya ki ulfat door ho Paikar-e-sidq-o-wafa faryaad hai
Bahr-e-Zainab behayaai ka huzoor Khatima ho khatima faryaad hai
Ya Hussain Islami behnon ko bana Paikar-e-sharm-o-haya faryaad hai
Har taraf se hai balaon ka hujoom Dafe-e-karb-o-bala faryaad hai
Sabr ka paimana ab labrez hai Paikar-e-sabr-o-raza faryaad hai
Muflis-o-nachar-o-khasta haal hoon Makhzan-e-jood-o-ata faryaad hai
Chha gayi dil par khizan pyare Hussain! De bahar-e-janfiza faryaad hai
Hubb-e-Sadat ae Khuda de wasita Ahl-e-Bait-e-pak ka faryaad hai
Aafton par aaften hain al-madad Sayyid-o-sardar-e-ma faryaad hai
Deen ki khidmat ka jazba dijiye Sadqa nana jaan ka faryaad hai
Sunnaton ki har taraf aaye bahar Sadqa mere Ghous ka faryaad hai
Chal gayi baad-e-mukhalif al-ghiyas Ae Hussain-e-bawafa faryaad hai
Kaash! ho jaaun Madine mein shaheed Aap farma dein dua faryaad hai
Bakht ki hain jis qadar bhi guthiyan Saari suljha do shaha faryaad hai
Karbala ki haziri ho phir naseeb Bakht-e-khwabida jaga faryaad hai
Haal hai behaal Shah-e-Karbala Aap ke Attarؔ ka faryaad hai