Ya Ghaus! bulao mujhe Baghdad bulao Baghdad bula kar mujhe jalwa bhi dikhao
Duniya ki mohabbat se meri jaan churao Deewana mujhe Shah-e-Madinah ka banao
Chamka do sitara meri taqdeer ka murshid! Madfan ko Madine mein jagah mujh ko dilao
Naiya meri manjhdhar mein sarkar! phansi hai Imdad ko aao! meri imdad ko aao
Hasnain ke sadqe hon meri mushkilain aasaan Aafaat-o-baliyaat se Ya Ghaus! bachao
Ya Peer! main isyaan ke talatum mein phansa hoon Lillah gunahon ki tabahi se bachao
Achhon ke khareedar to har ja pe hain murshid! Badkar kahan jayen jo tum bhi na nibhao
Ahkaam-e-shariat rahen malhooz hamesha Murshid! mujhe sunnat ka bhi paband banao
Attar jahanam se bahut khauf zada hai Ya Ghaus! ise daaman-e-rehmat mein chupao