We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Sultan e Karbala Ko Humara Slaam HoNot Verified

Sultan-e-Karbala ko hamara salam ho Janan-e-Mustafa ko hamara salam ho


Abbas-e-namdar hain zakhmon se choor choor Us paikar-e-raza ko hamara salam ho


Akbar se naujawan bhi ran mein hue shaheed Ham-shakl-e-Mustafa ko hamara salam ho


Bhai, bhatije, bhanje sab ho gaye nisar Har la'l-e-be-baha ko hamara salam ho


Asghar ki nanhi jaan pe lakhon durood hon Mazloom-e-be-khata ko hamara salam ho



Never Be Without Your Favorite Lyrics - Get the App for Offline Access!

Get it on Google Play


Ho kar shaheed qoum ki kashti tara gaye Ummat ke nakhuda ko hamara salam ho


Nasir wilaye shaam mein kehta hai baar baar Mehman-e-Karbala ko hamara salam ho

Instant Access to Thousands of Lyrics - Tap to Install!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah