Sultan-e-haya jami-e-Quran ki baatein Hum kyun na karein Hazrat-e-Usman ki baatein
Maryam ke usi noori bashar ko bhi suna do Do noor samete hue insaan ki baatein
Unwan-e-majalis ka hayaon ko bana kar Qudsi bhi kiya karte hain Usman ki baatein
Mat chhed kisi dushman-e-Usman ke qisse Mat kar mere aage kisi be-jaan ki baatein
Un ka to faqat Roomah hi jannat ka sabab hai Hain tere mere waaste Mizan ki baatein
Do hijratein do noor bhi Rizwan ka sabab bhi Dikhlao kisi aur mein is shaan ki baatein
Har ek ke muqaddar mein kahan midhat-e-Usman Imaan ki baatein hain ye Imaan ki baatein
Usman hai wo jis ke har ek qatra-e-khoon ne Quran se keen lazzat-e-Imaan ki baatein
Aulad-e-Ali jis ki muhafiz ho phir us ko Nuqsan na dengi kisi Marwan ki baatein
Damad-e-Payambar pe zabaan kholne wale Aisi to nahi hotin musalman ki baatein
Chal chhod Tabassum ko Tabassum ki ghazal ko Modega tu kaise bhala Rahman ki baatein