Sarkar Ghous-e-Azam nazar-e-karam khudara Mera khaali kaasa bhardo main faqeer hoon tumhara
Sab ka koi na koi duniya mein aasra hai Mera bajuz tumhare koi nahi sahara
Jholi ko meri bhar do warna kahegi duniya Aise sakhi ka mangta phirta hai mara mara
Yeh ada-e-dastgeeri koi mere dil se poochay Wahin aa gaye madad ko main ne jab jahan pukara
Siddique-o-Umar ka sadqa Usman-o-Ali ka sadqa Meri laaj rakh lo Meeraan main faqeer hoon tumhara
Ganj-e-Shakar ka sadqa Ahmad Raza ka sadqa Madani Zia ka sadqa Murshid Piya ka sadqa Meri laaj rakh lo Ya Ghous main faqeer hoon tumhara
Yeh tera karam hai Murshid jo bana liya hai apna Kahan mujh sa yeh kameena kahan silsila tumhara