Pukaaro Shah-e-Jilaan ko pukaaro Badal jaaye gi qismat besahaaro
Yeh dar Mehboob-e-Subhani ka dar hai Bhikaari ban ke aao taajdaaro
Yeh zarre koocha-e-Baghdad ke hain Karo sajde yahaan par chaand taaro
Mureedi la takhaf un ka hai farmaan Na ghabrao zara bhi gham ke maaro
Pukaaro har ghadi Ya Ghous-e-Azam Guzaaro zindagi bas yun guzaaro
Tumhari reet hai beday taraana Meri naiyya bhi Meeraan paar utaaro
Tumhein mushkil nahin bigdi banaana Hamare kaaj bhi Meeraan sanwaaro
Ghous-e-Azam Shah-e-Jilaan manjhdhaar mein naiyya hai Sadqa Maula Ali aao meri laaj nibha jaao Barbaad na hoke kar de toofaan ka iraada hai Kashti meri dubone ko har mauj aamaada hai Majboor bohat hoon aise mein tum aa jaao
Meeraan main bhi reham ke qaabil hoon dukh dard ka maara hoon Faryaad suno imdaad karo aakhir main tumhaara hoon Karo nazar-e-karam Meeraan mere kaam bana jaao
Duniya mein bata dijiye aur kaun hamaara hai Ab raah-e-Khuda sun lijiye sada main ne tum ko pukaara hai Hasnain ke jaani ho meri bigdi bana jaao
Aasi pe Shah-e-Jilaan rehmat ki nazar kar do Saans rukne laga aaya waqt-e-naz'a Meeraan ko khabar kar do Bakhshish meri ho jaaye surat to dikha jaao